Khamosh mohabbatain
Bay garz mohabbatain
Onhain sochain
Onhain chahain
Magr unhi se chuppayain
Ye khamosh mohabbatain
Jazbaat ki lau
Ehsaasat ka talatum
Unkahi dastaan
Ta hadd e nigah tassavvur
Harf harf tasveer banayain
Ye khamosh mohabbatain
Kuch na chahain unn se
Kuch na mangain unn se
Faqt
Ek aarzo
Kaash !
Unn pe ayaan hon
Hamari ye khamosh mohabbatain
Ye bay garz mohabbatain ...
(written by seennoon)
.iwrotethisforyou.
Loved it Naqqu!! <3 Kash woh waqai main samajh payein in jazbaaton ko!
ReplyDeleteThanks sweets! ... InshaAllah samjh jayainge :) <3
ReplyDelete